Blog me Post kaise daale

Blog me post kaise daale


Hello Dosto, Mai Rahul ek baar fir ek naye post ke sath aapke samne hajir hua hu. Pichle post me maine bataya tha ki Blog kaise banate hai. Ummid hai vo post padh kar aapko blog banana aa gaya hoga.

adhik janakari ke liye padhein Blog kaise banaye.

Aaj mai aapko blog me post dalna or Post me Content ko edit karna bataunga. Sabse pahle aap apne Blog me login kar lijiye.



Fir aap apne blogger ke page par upar dekhiye ek Pencil ka nisan nazar aayega jaisa ki upar photo me dikhaya gaya hai. ab aapko us Pencil par click karna hai. aisa karne par aapke samne ek bilkul blank page khul jayega, jaha upar ek taraf  Post or uske niche Compose or  HTML likha hoga.


 Aapko Sabse pahle Post ke samne wale box me jakar apne Post ka title likhna hai. Dhyan rahe aapke Post ka Title aapke Post ke content se milta julta hona chahiye. aisa karne par aapke blog par Google se traffice aane ki sambhavna badh jayegi.

Ab aapko niche Compose par click karna hai. or fir aap jo bhi kuch content dalna chahte hain vo us blank page par dal dijie/likh dijiye. Writing ka kaam pura ho jane ke baad aap apne Post ko chahe to Save kar ke rakh sakte hain ya chahe to usi waqt Publish bhi kar sakte hain. Publish karne par aapka post usi waqt live ho jayega or usey sabhi log dekh sakenge.



Ye to thi Post writing ki baat, lekin koi bhi post blank page par sirf likh dene se post nahi banta hai. Aapke Visitors ko aapka Post dekhne me aakarshak (attractive) lage or usey padhne me koi problem na ho iske liye apne likhe hue post me kuch editing bhi jaruri hai.


Photo me diye gaye arrow or unke serial no. ko dekhiye or unki detail niche padhiye.
  1. Arrow no. 1 F ke sign par hai, aap yaha se Font ko apni marji ke anusar chun sakte hain, jaise Times New Roman, Courier New etc.
  2. Arrow 2 T ke sign par hai. Yaha se aap apne Font ka size chhota bada kar sakte hain.
  3. Arrow 3- yaha se aap apne kisi Line ko Heading ya Subheading me convert kar sakte hain.
  4. Arrow 4- yaha se aap apne likhe kisi bhi Text ko Bold, Italic, ya Underline kar sakte hain.
  5. Arrow 5- yaha se aap apne Text or uska Background color change kar sakte hain.


  6. Arrow 6- yaha se aap Link par click kar ke koi external link add kar sakte hain. Image par click kar ke koi Image insert kar sakte hain, Video par click kar ke aap Video insert kar sakte hain. or agar koi Post bahut bada likha gaya ho to Insert Jump Break laga kar aap user ke liye Read More ka option daal sakte hain.
  7. Arrow 7- yaha se aap apne paragraph ka alignement Left, Right ya Center change kar sakte hain. or agar aapko apne post me koi number dalna hai to Number List par click karna hoga or Bullet list dalna hoga to Bullet List par click karna hoga. Wahi se aap quote (") bhi daal sakte hain.. aap ab tak ki gai sari formatting remove karne ke liye Remove Formatting button ka bhi use kar sakte hain.
  8. Arrow 8- yaha aap spelling check kar sakte hain or Apne post me apni pasand se koi bhi language choose kar sakte hain. or sath hi apne post ka alignement Left to right ya right to left bhi set kar sakte hain.
Aapko ye jankari kaisi lagi, is baare me mujhe comment box me jarur bataiyega. Dhanyawaad.


loading...
Previous
Next Post »

3 comments

Click here for comments
Elect Guru
admin
August 28, 2016 at 10:33 AM ×

Rahul ji bahut hi kaam ki post hai ye main isi post ko padhne ke liye aaya tha is baar but visit main regular karoonga aur aapke saarepost ko dhyanpurvak padhunga.
Maine bhi ek blog banaya hua haibut blogging ke baare mein mujhe kuchh aata nahin tha so Pankaj bhai ne mujhe bataya tha is link ke baare mein aur main comicsmypassion ka regular visitor hoon.
Aapka bahut-baht thanks ki aapne comics ke liye utna achchha blog banaya aur fir job lagne ke baad bhi aapneuse ek achche hathon mein bhi saunp diya kyonki ab ye koi soch bhi nahin sakta ki comics ka blog Pankaj bhai ne nahin aapne banaya hai maine bhi nahin socha tha. Waise HTML se related jahan saare programming ke baare mein bataya gaya ho uska link dijiye mujhe iski bahut hi jaoorat hai.

Reply
avatar
August 28, 2016 at 4:04 PM ×

Anand ji, mujhe pankaj bhai ne aapke bare me bataya tha or mai bhi comics blog par aapka comment padhta hu isliye thoda bahut aapko aapke naam se janta hu.

Pankaj bhai ne aapke bare me mujhe bataya tha, unhone bataya ki aap naya blog bana rahe hain or usme aapko help ki jarurat hai. aap apne blog ka link mujhe dijiye mai samay nikal kar waha visit karunga.
or jo bhi jaruri sudhar hoga mai aapko bata dunga.

HTML ki programming bahut badi hai or aap usey samajh nahi payenge or aapko us puri programming ki koi jarurat nahi hai. Google ka Blogger apne aap aapke post ko html me convert kar deta hai, lekin kuch jaruri chizo ko edit karne ke liye html ke kuch basic tags ki jarurat padti hai, is par mai detail me ek post likhunga.

maine ek or post html tag ka bana rakha hai aap us page par visit kariye, waha aapko aapke kaam ke 2 html tag mil jayenge.

http://internethindime.blogspot.in/2015/10/use-of-html-tag.html

Reply
avatar
Elect Guru
admin
August 29, 2016 at 7:25 AM ×

Rahul ji ye raha mere blog ka link....
http://electronicsmylife.blogspot.in/
Ye maine comicsmypassion ki tarz par hi banaya hai.
Aur fir jitna bhi kar chuka hoon aapke is blog aur Pankaj ji ke help se hi kar paya hoon so thanks.
Aur fir abhi tak maine aapke saare posts ko padha bhi nahin hai bas time milte hi dhyan se padhoonga taki blog mein kuchh sahi changes kar sakoon.

Reply
avatar
Thanks for your comment