Powered by Blogger hatane ka upay

Powered by Blogger hatane ka upay



Hello dosto, abhi tak maine apne pichle post me aapko Blog banae, post dalne or Favicon hatane ke bare me bataya. Lekin aapne dekha hoga ki jab aap blog banate hai to sabse niche POWERED BY BLOGGER likha aata hai, jisey aap chahkar bhi remove nahi kar pate hain.

Aap agar kisi se ye baat kahte hain ki aapne ek website banaya hai or jab vo aadmi aapka blog dekhta hai or waha powered by Blogger likha dekhta hai to vo samajh jata hai ki ye blogger par banaya gaya hai or kuch log Jis baat ko lekar aapka mazak bhi bana dete hain.


Isey bhi Padhein:- Favicon kaise Add karein.



Sabse pahle hum ye janenge ki Powered by Blogger kya hai. Blogger ek platform hai jis par ham apna website free me bana sakte hain. Aise kai free platform hai jaise Wordpress, Weebly, Tumbler etc... in sab par bhi hum free me apna website bana sakte hain.

Ab sawal ye hai ki Powered by Blogger ko kaise remove kiya jaye. Iske liye aapko apne Blog ke Dashboard me jana hoga, waha Layout me jaiye.


Layout me sabse niche aapko Attribution likha najar aayega waha aapko Edit par click karna hai. ab aapke same ek naya box khulega.


Aap us box me dekhenge ki Save or Cancel ka button to hai lekin Remove ka button nahi hai. lekin aapko paresaan hone ki jarurat nahi hai. Aap Template me jaiye waha Edit HTML par click kariye.


Edit HTML par click karte hi code ka ek page khul jayega, waha aapko Jump to Widget par click karna hai or waha se Attribution 1 par click karna hoga. Attribution 1 par click karte hi aapke samne aisa code likha aa jayega


Aapko bas itna karna hai ki TRUE ko Delete kar ke waha par FALSE likh dena hai.


Or fir aap save kar ke back par click kar dijiye. Ab aap wapas Layout me jaiye, waha fir se Attribution me Edit par click kariye.


Ab aapke samne jo Box khulega usme REMOVE ka bhi option likha aayega.


Aap Jab Remove par click karenge to box me aapse pucha jayega ki kya aap wakai me isey remove karna chahte hain. Aapke OK par click karte hi Powered by Blogger remove ho jayega, or aap wapas Layout page par pahuch jaiyega.

Ab aap apna Blog open kar ke dekhiye waha sabse niche aapko Powered by Blogger likha nahi aayega.

Aapko ye jankari kaisi lagi is baare me comment box me jarur bataiyega. Dhanyawaad.


loading...
Previous
Next Post »

10 comments

Click here for comments
victor
admin
November 5, 2015 at 2:03 AM ×

amazing ye aur bata do ki pages jo tab ke roop me hote unhe attrective kese banaye

Reply
avatar
November 6, 2015 at 1:51 AM ×

Tab ko attractive banane ke do tarike hai. ek aap Template ke design me jakar khud ke CSS code add kar dein ya dusra aap custom template upload kar dein jisme tab already attractive dikh rahe ho...

Reply
avatar
Elect Guru
admin
August 24, 2016 at 8:48 AM ×

Sir maine try kiya but remove ka option nahin aaya.

Reply
avatar
August 24, 2016 at 5:13 PM ×

Kya aap blog ke template code me gaye they? or waha jakar upar diye gaye instructions ke anusar aapne "TRUE" ki jagah "FALSE" likha tha? Agar aisa nahi kiye they to ek baar fir se isey try kariye.

Reply
avatar
September 13, 2016 at 11:33 PM ×

ye post zabardast h ke powered by blogger ko kaise remove karen. ye information zabardast hai mere liye.
thanks for this precious post :)

Reply
avatar
Elect Guru
admin
October 7, 2016 at 7:40 AM ×

Pahle samajh nahin aata tha but ab maine successfully powered by blogger ko hata diya hai so thanks.

Kripya blog mein MENUBAAR lagane ke baare mein bhi batayein jaise ki aapke blog mein

Home
Blogger
Comics
Novel
Moviez

likha hai.

Reply
avatar
October 9, 2016 at 3:16 PM ×

Blog me Menubar do tarah se lagaye jate hai...ek to custom template me Menubar pahle se add hote hai, bus usme thodi si modification karni hoti hai..

or agar aapko coding aati ho to khud se code kar ke bhi Menu bana sakte hain...ya fir kahi or se code mil jaye to usey template me jakar past kar sakte hain...

or agar comics blog me jaisa menu hai, waisa banana chahte hain to ye post http://internethindime.blogspot.in/2015/11/widget.html

padhein. isme maine screenshot me 5th no. par PAGES ke baare me bata rakha hai...aap us process ko follow kariye..aapka Menu ban jayega...

Jaldi hi agle post me code ke jariye Menu banane ke bare me bataunga...

Reply
avatar
Unknown
admin
December 12, 2016 at 5:30 PM ×

tomhari tarha comment box kese set karonga. pls help.

independent.tusher@gmail.com pe pls contact karo friend.
bloggerspices.blogspot.com

Reply
avatar
Thanks for your comment