Useful Widget

Useful Widget




Hello Dosto, Mai Rahul aapka apne naye post me swagat karta hu. Bahut dino se busy chal raha tha isliye post likhne ka samay nahi mila. Hamare ek visitor ne mujhse kuch or useful widget add karne ke bare me likhne ka sujhav diya, isliye mera aaj ka topic bhi isi par hai.

Pichle post me aapne padha ki kaise Jaruri widget Add kiya jaye, is blog me mai kuch aise widget ko add karne ke bare me bataunga jo blogger me hi hoti hai lekin hame unke bare me pata nahi hota hai. Iske alawa aap us apni pasand ke widget ke code kisi or website se copy kar ke (agar free me available hai to) ya fir purchase kar ke apne blog par laga sakte hain. Isse aapka blog/website or bhi aakarshak dikhega.

Isey bhi padhein:-

Sabse pahle mai Blogger me maujud kuch or useful widgets ke bare me bataunga.

Useful Widget

Sabse pahle aapko Dashboard me jakar Layout me jana hoga, waha aapko Add a Gadget par click karna hoga.


  1. AdSense:- Dosto, hum sabhi chahte hain ki hamne jo blog/website banaya hai usse hame kuch aamdani bhi ho. Google ka AdSense us aamdani ka sabse bada jariya hai. Agar hame apne blog/website par google ka Ad lagane ka adhikaar mil jata hai to Ad lagane ke liye sabse jaruri chiz hai AdSense widget. Is widget ke jariye ham kisi bhi page par or page ke kisi bhi hisse me (Left, Right, Center, Top, Bottom) par ham Google ke Ad laga sakte hain. 
  2. HTML/JavaScript:- Is widget me ham external code add kar ke ya apna khud ka code likh kar ek custom widget add kar sakte hain.
  3. Profile:- Is widget ko add karne par blog par aane wale visitors Blog Admin ki Google+ Profile dekh sakte hain.

  4. Labels:- Jab bhi aap koi post banate hai to us post ke anusar usey ek khas category me dalte hain, or us category ka naam dete hain jisse jab bhi aapko jarurat pade to aapko Saikdo posts ke bich me se vo post talash nahi karna pade balki sirf us category me jane bhar se aapko vo post mil jaye. Isey hi hum Labels bhi kahte hain. Labels widget add karne se sirf Admin ko hi nahi Visitors ko bhi kaafi suvidha hoti hai or Visitors bhi labels dekh kar samajh jata hai ki ye post kis category ka hai or agli bare usey us post ko search karne me bhi asani hoti hai.
  5. Pages:- Is widget ke jariye aap apne blog me create kiye gaye sabhi pages ko Horizonally ya Vertically show kara sakte hain.
  6. Link List:- Is widget ke jariye aap apne visitors ko apne favourite blog, websites ya links ke bare me bata sakte hain.
  7. Text:- Is widget ke jariye aap apne blog ke bare me ya fir koi notification likh kar aap apne visitors ko bata sakte hain.
  8. >
  9. Popular Posts:- Is widget ki madad se aap ye pata kar sakte hain ki is week me ya is month me kon se post par sabse jyada visit hui hai.


  10. Search Box:- Ye widget visitors ke liye bahut hi useful saabit hota hai. Visitors ko aapke blog par kuch bhi search karna ho to vo Search Widget me type kar ke search karte hain. Kisi bhi achche blog ki sabse badi nishani hai waha Search Widget ka hona.
  11. Blog's Stats:- Is widget ke jariye aap apne blog par total pageviews ki counting dekh sakte hain.
  12. Video Bar:- Is widget ke jariye aap apne blog me Youtube ke videos bhi add kar sakte hain. Aapko bas Youtube ke video ka link is widget me paste karna hoga or save karte hi aapke blog par video show hone lagega.
  13. Follow by Email:- Is widget ko add karne par aapke visitors or aapke followers ke liye aapke naye posts ke bare me janne me suvidha hoti hai. Jab aapke followers email ke jariye aapko subscribe karte hain to aapke dwara dali jane wali har post ki jankari unke paas email ke jariye pahuch jati hai.


  14. Poll:- Aap ye widget add kar ke apne visitors se kuch sawal puch sakte hai, koi quiz puch sakte hain ya kisi poll me participate karne ke liye kah sakte hain.

  15. Dosto, ye tha Blogger me maujud kuch bahut hi jaruri widgets ki jankari. Aap chahe to kisi bhi dusre website se apni pasand ke widget ke code copy/purchase kar ke apne blog par HTML/JavaScript widget me paste kar ke add kar sakte hain.

    Ye jankari aapko kaisi lagi, is bare me comment box me mujhe jarur bataiyega. 



loading...

About

Hello Dosto, Mera Naam Rahul hai or mai is blog Internet Hindi Me ka Admin hu. Ye blog banane ka maksad Naye Bloggers or Non-Technical Persons ki help karna hai. Waise log jo Technical field me kuch karna chahte hain lekin is field ki jankari nahi hone ke karan vo kuch nahi kar pate, Aise logo ko dhyan me rakh kar maine ye Blog banaya hai. Meri kosis yahi rahegi ki yaha aane par aapke har sawal ka jawab mil jaye. Agar aap bhi hamari help karna chahte hain to Blog ke bare me apne dosto or relatives ko jarur bataye.
Thank You

Previous
Next Post »

11 comments

Click here for comments
Unknown
admin
November 5, 2015 at 9:17 PM ×

bahut badiya bhai thanks again :)
bhai jese apke blog me upar ki taraf
Home, Blogger, Comics, Novel, Moviez
category show ho rahi he use kese add karte he he uski setting kese ki he please aage ki post me zarur batyaiyega :)

Reply
avatar
Unknown
admin
November 6, 2015 at 12:37 AM ×

Rahul bhai please koi achchhi si css ke code ki books dal dijiye.
Please please please try

Reply
avatar
November 6, 2015 at 1:59 AM ×

Rahul bhai, Home, Blogger, Comics category ye sab custom template me already add hai lekin isey blogger me bhi add kiya ja sakta hai uska tarika mai kisi post me bataunga.

Reply
avatar
November 6, 2015 at 2:00 AM ×

Lavlesh bhai, aapki suvidha ke liye mai jaldi hi css ki book ka link send kar dunga.

Reply
avatar
Unknown
admin
November 18, 2015 at 4:13 PM ×

hello rahul bhai
bahut din se apne koi post nahi ki apki new post ka wait kar raha hu :)

Reply
avatar
November 25, 2015 at 12:09 AM ×

Bhai, mai Diwali me gaon chala gaya tha, or waha tyohar ki vyastata or network ki problem k karan koi post nahi kar paya... ab kosis karunga ki roj kam se kam ek post jarur likhu... Thanks for waiting :)

Reply
avatar
vipin ahlwat
admin
December 23, 2015 at 2:53 PM × This comment has been removed by the author.
avatar
vipin ahlwat
admin
December 23, 2015 at 2:55 PM ×

bhai, hum sidebar - left-1 kaisey add kar saktey hai, kyunki by default sirf sidebar-right-1 aati hai

Reply
avatar
Nawab
admin
July 1, 2016 at 10:26 PM ×

Very useful for me..... Thanx

Reply
avatar
Nawab
admin
July 2, 2016 at 12:59 AM ×

Very useful for me..... Thanx

Reply
avatar
Thanks for your comment

Label Cloud