HTML-Java Script Widget kaise add karein

HTML-Java Script Widget kaise add karein



Hello Dosto, Abhi tak maine aapko Blog banae, usme post dalne or chhoti-moti settings ke bare me bataya. Aap sochte honge ki kisi bhi blog side me Ad lage dikhte hain ya Facebook Like box bana dikhta hai to vo kaise lagaya jata hai, ye aap jarur sochte honge.

Aaj mai aapko isi baare me bataunga. Sabse pahle mai aapko batana chahunga HTML/Javascript widget kya hai.

Ye blogger me ek Widget hota hai jisme ham HTML/Javascript ke code add karte hain or save karte hi us code se related chize blog me dikhni suru ho jati hai.

Jaise maan lijiye aapko koi Ad lagana hai or aapke paas Javascript ka Code bhi hai to aap HTML/ Javascript widget me jakar ye code paste karenge or Save kar denge. Fir jab aap apne blog ko open kariyega to vo Ad aapko waha show ho raha hoga.




Isey bhi padhein: Use of HTML Tag.

Ab sawal ye hai ki HTML/Javascript ka widget kaise banaye. to dosto, aapko widget banane ki koi jarurat nahi hai. Bas uske liye kuch process follow karne honge. Jo mai pics ke jariye aapko bataunga.

Sabse pahle aap Dashboard par Layout me jaiye.



Layout me aapko Add a Gadget par click karna hai. Click karte hi aapke samne ek naya page khul jayega.


Usme aap HTML/JavaScript ko search kar ke uske samne maujud (+) ke button ko click karenge, ab aapke samne ek khali page khul jayega, jisme do box bane honge.


Inme se ek box Title ka hota hai jaha par aapko apne HTML/JavaScript se related ek title dena hota hai. Generally ham isey khali chhod dete hai. Ab aap content box me apna Code paste karenge. or fir aap Save button par click kar denge. Save hote hi ye box gayab ho jayega.

Ab aapke samne layout ka page wapas aa jayega. Waha aap HTML/JavaScript ke widege ko mouse se drag kar ke upar niche kar sakte hain. Aap chahe to widget ko top par hi rahne de ya fir usey drag kar ke apne manpasand jagah par fit kar dein. or fir layout me upar Save Arrangement par click kar dein. Ab jab aap blog open kariyega to aapne Jo Widget lagaya tha vo aapko show hone lagega.

Dosto, aapko ye jankari kaisi lagi, is bare me mujhe comment kar ke jarur bataye. Dhanyawaad.


loading...
Previous
Next Post »

6 comments

Click here for comments
Unknown
admin
October 28, 2015 at 6:24 PM ×

thanks bhai
apki sari post dekhi jis tarah apne bahut hi aasan tarike se blog ke bare me samjhya wo lajawab he bahut asani se sab samajh me aa gaya thank you so much :)

Reply
avatar
Unknown
admin
October 28, 2015 at 6:26 PM ×

bhai kuchh aur chize hoti he jese blog me ''Live Traffic Feed'', Chatting ka Option'', ''Visitor Counting'' etc. inke bare me bhi aage ki post me zarur bataiye
Thanks :)

Reply
avatar
October 29, 2015 at 4:26 PM ×

Thanks Rahul Singh ji, mai agle kisi post me in sare widgets ko add karne ke bare me bhi bataunga...iske alawa aap chahe to mujhe or bhi topic suggest kar sakte hain jis par mai detail me post daal sku... Thanks for comment.

Reply
avatar
Unknown
admin
October 29, 2015 at 10:38 PM ×

most welcome bhai :)
u doing great job i salute u

Reply
avatar
September 13, 2016 at 11:24 PM ×

Great job Rahul bhai....
Nice information about adding html or jawa-script widget. keep updating us via post :)

Reply
avatar
September 14, 2016 at 1:40 PM ×

Thanks Khursheed bhai, Mai bahut jald hi blog par naye post update karna suru kar dunga. :)

Reply
avatar
Thanks for your comment