Navbar Kaise hataye

How to Remove Navbar



Hello Dosto, Mai Rahul ek baar fir apne naye post me aapka swagat karta hu. Abhi tak maine aapko bataya ki Blog kaise banayeBlog me post kaise daleFavicon kaise Add karein etc.. Aaj mai aapko Bataunga Navbar kaise hataye.

Dosto, Blogger par blog banane ke baad agar ham apne blog ko sahi se design nahi kare to koi bhi dekh kar bata sakta hai ki ye website nahi blog hai. Apne blog ko Website ka perfect look dene ke liye hame blog ki designing me kuch jauri change karna padta hai.



  1. Navbar : Ye hamare blog me sabse upar hota hai, Ye sirf Blog Admin ke kaam ka hota hai lekin blog visitors ke liye iska koi use nahi hai.
  2. Favicon : Blog me jo B likha nazar aata hai vo isi Favicon ke karan hota hai. hum chahe to apne blog me apna manpasand icon bhi laga sakte hain.
  3. Subscribe to: Posts(Atom) : Ye har blog me sabse niche hota hai. iske jariye koi bhi user khud ko blog post ke liye subscribe kar sakta hai.
  4. Powered by Blogger : Ye bhi hamare blog me sabse niche hota hai.

Sabse Pahle ham Janenge 

Navbar kya hai?

Navbar ek navigation bar hai jo hamare blog me sabse upar hota hai. Ye sirf Blog Admin ke kaam ka hota hai. Visitors ko issey koi fayda nahi hai. Blog Admin Navbar ki madad se jab chahe tab apne blog ke Dashboard par ja sakta hai, apne agle post par ja sakta hai or koi post search bhi kar sakta hai.


  1. B Icon par click karne par ham sidhe Blog ke dashboard me pahuch jate hai.
  2. Search Bar me hum apne post se related kuch bhi search kar sakte hai.
  3. Google+ par click kar ke hum apne posts Google+ par share kar sakte hai.
  4. More par click karne par hame share ke or bhi option milte hai.
  5. Next Blog par click karne par Blogger ka koi bhi dusra blog khul jata hai.
  6. New Post par click karne par hamare samne New Post likhne ke liye Post editor khul jata hai.
  7. Design par click karne par ham sidhe Template ke option par pahuch jate hai.
  8. Sign out par click kar ke hum blog ko Sign out kar dete hai.
Is tarah aapne dekha ki in sare shortcuts ka use sirf or sirf Blog Admin hi kar sakta hai, Blog Visitors ke liye iska koi use nahi hai.



Navbar ko kaise hataye.

Navbar hatane ke 3 tarike hai.
  1. Layout me jakar Navbar ko off kar ke.
  2. Template me jakar Navbar ka code delete kar ke.
  3. CSS code ko add kar ke.
Lekin sabse aasan tarika hai Layout me jakar Navbar ko off karne ka. Aaiye dekhte hai kaise Navbar ko off kiya jata hai.


Sabse Pahle Blog ke Dashboard me Jakar Layout me jaiye waha aapko Navbar ka option dikhega, aapko Edit par click karna hai. Edit par click karte hi ek naya page aapke samne khulega.


Ye Navbar Configeration ka page hoga, yaha aapko sabse niche OFF ka button dikhega, Off ko select kar ke save kar dena hai. Ab aap jab apna blog open karenge to Navbar hat chuka hoga.

Navbar hatane ke Fayde or Nuksan

Navbar mainly blog Admin ke liye hi use hota hai, Isliye isey hatane par sirf yahi nuksan hai ki hame blog ke dashboard par jane ke liye baar baar blog open karna padega lekin fayda ye hai ki ab aapke blog me Website ka look dikhne lagega.

Dosto, aapko ye jankari kaisi lagi, is bare me mujhe comment box me jarur bataye. Dhanyawaad.


loading...
Previous
Next Post »