Backlinks Kya Hota hai Aur Ye Kyu Jaruri hai

Backlinks Kya Hota hai




Hello Dosto, Ek bar fir aapka swagat hai mere naye post me. SEO kaise Kare post me maine Back links ke bare me thoda sa bataya tha. Aaj mai aapko detail me bataunga ki Backlink kaise banate hai. 

Backlinks kya hota hai?

Sabse pahle ye janna jaruri hai ki Backlinks kya hota hai. Jab bhi hum kisi dusre blog/site par jakar koi comment karte hai ya Guest Post karte hai ya Website Directory me apne Blog ke link submit karte hai, to vo backlink kahlata hai.

Matlab hum kisi dusre site par apne blog ka link daal dete hai jisse waha us site se hamare blog par traffic aane lagta hai.

Aasan shabdo me kahu to dusre sites par maujhud hamare links jinse hamare blog par traffic aata hai, backlinks kahlata hai.

Isey Bhi Padhein

Backlinks kitne tarah ke hote hai.

Backlinks basically 2 tarah ke hote hai lekin apko achche se samajh me aaye is liye humne usey 4 part me baat diya hai.

Do-Follow Link - Isme hum kisi dusre blog par comment ke jariye apne blog ka link dalte hai, or us link ko visit kar ke visitors hamare blog par aate hai. Isme link par click karne par blog ek naye page me open hota hai.

No-Follow Link - Isme hum Anchor text ke jariye apne blog ka link dalte hai or jab koi us link par click karta hai to hamara blog usi page me open ho jata hai. 

<a href="https://www.facebook.com/" rel="no-follow">Facebook</a>

Internal Link - Jab hum Apne Post me kisi dusre post ka link add karte hai to vo Internal Link kahlata hai.

Exteral Link - Jab hum apne blog/site me kisi dusre blog/site ka link add karte hai to usey external link kahte hai.



Backlinks Ke Fayde:-

Backlinks SEO ka sabse important part hai. Jab hum apne blog ka backlinks banate hai to hamare blog par natural quality traffic aata hai jisse Search Engine me hamare blog ka rank badhta hai or hamara blog search me upar aane lagta hai. 

Lekin iske liye jaruri hai ki hamare blog ka backlink achchi sites par ho na ki galat sites jaise Porn sites, gambling sites ya piracy ko promote karne wali sites..etc.

Jab hum achchi sites par apna link dalte hai to usey quality backlinks kahte hai or us link se aane wale traffic ko quality traffic kahte hai.

Quality backlinks or traffic ko Google ka Search Engine pasand karta hai or aise blog ko vo bahut jaldi hi search me high rank par la deta hai. Isliye sabhi bloggers ko yahi kosis karni chahiye ki unka backlinks hamesa achchi sites par hi ho.

Aaiye ab jante hai ki

Apne Blog/Site Ka Backlinks kaise banaye.

  1. Original Content likhe:-
  2. Blogging ki sabse pahli shart hai ki aapka content hamesa original hona chahiye, kisi dusre sites se copy kiya content ki value nahi hoti hai. Agar hum apne blog par apna khud ka likha hua or unique content post karte hai to search engine us post ko jaldi hi high rank de dega.

    Search me aane se post par traffic bhi aayega or agar aapka post logo ko pasand aayega to vo aapke post ka link social media ya khud ke site par share bhi karenge jisse aapko bina extra mehnat ke quality backlinks milega.

    Lekin dhyan rahe post hamesa aasan bhasa me ho jisse visitors aapki baat samajh jaye, agar aap chahe to apne visitors ki madad ke liye post se related dusre blog ke post ka link bhi de sakte hai, isse aapka us Blog ke Admin se bhi achche rishte banenge.








  3. Dusre Sites Par Comments kar ke:-

  4. Backlinks create karne ka sabse best option hai dusre sites/blog par comment karna. Aap apne blog/blog-post se related dusre blog/sites par jakar achcha comment kare. Achcha comment se matlab hai ki post ko achche se padhne ke baad post ke bare me comment likhe ya kuch sujhav dein ya post se related koi question puche, Ye achche comments me aate hai.

    Kuch log sirf Very Good, Great, Nice Post, Thanks ye sab likh dete hai. Aise comments karne se bache. Search Engines aise comments ko SPAM Comments manta hai or lagatar aisa comment karne se Google aapke Blog ko Spamming karne wala blog maan kar penalize bhi kar sakta hai.






  5. Guest Post Jarur Likhein.

  6. Kam samay me jayda traffic lane ka sabse best upay hai Guest post likhna. Sabse pahle jante hai Guest Post kya hota hai.

    Jab hum Bahut hi achchi post likh kar kisi dusre sites/blog par publish karwane ke liye submit karte hai, usey Guest Post kahte hain.

    Guest Post likhte waqt kuch baato ka dhyan rakhein. Aap jo post likh rahe hain vo unique hona chahiye or us sites par kabhi post na hua ho, Jis site par aapko apna post publish karwana hai waha aapke content se related post hi publish hote ho.

    Sath hi vo Blog/Site us field ki popular site ho or Apne post me apna naam or apne Blog ka link jarur add karein.








  7. Blog Ko Web Directories Me Submit Karna:- 
Net par bahut sari Web Directories hai jin par aap apne Blog ko submit kar sakte hain. Web Directories me Blog ko submit karne se hamara backlinks or bhi majbut hota hai.

Lekin aapko ye bhi dhyan rakhna hoga ki Web Directories ki quality achchi ho. Kuch Web Directories ke naam niche diye gaye hai. Ye sabhi free hai or in par aapko sirf apna Free Account banana hoga or uske baad aap apna blog in par submit kar sakte hain.


Ummid karta hu aapko ye post pasand aaya hoga. Post se related koi Sawal ya Sujhav ho to comment kar jarur bataiyega. Thank You.

Isey Bhi Padhein




loading...
Previous
Next Post »

5 comments

Click here for comments
Elect Guru
admin
February 21, 2017 at 8:20 PM ×

Ye mere liye bilkul nayi aur kaam ka post hai Rahul ji. Choonki aapne kisi blog par bada comment likhne ko kaha hai lekin fir bhi kanjoosi kartee huye aaj main chhota sa hi comment kar raha hoon. Lekin aapse waada bhi karta hoon ki aapke bataye anusaar hi aapke next post mein apna comment itna bada jaroor kar doonga ki aapko mere comment aur Mahabharat mein koi fark mahsoos nahin hoga. Hihihihihi.....

Reply
avatar
Admin
admin
February 22, 2017 at 2:56 PM ×

Anand bhai, comment ke liye thanks. ye jaruri nahi hai ki aap bahut lamba chauda comment kare, comment meaningful hona chahiye. jaise aap is post me batai gai bato par koi sawal kar sakte hai, ye apna suggestion de sakte hain ki ye bhi hona chahiye, ya fir normal comment jaise aapne upar likha hai. Jaldi hi mai yaha comment me ek naya option add karunga jisse aap comment karenge to aapke blog ka backlink bhi yaha ban jayega or koi bhi aapke naam par click kar ke aapke blog par visit kar sakega.

Reply
avatar
Hannan Aslam
admin
March 28, 2018 at 3:52 PM ×

Your list gives me many creational ideas that I can perhaps use on my web tender too. High TF CF

Reply
avatar
Jeson Devid
admin
April 2, 2018 at 3:45 PM ×

You make such a variety of extraordinary focuses here that I read your article a few times. Your perspectives are as per my own particular generally. This is incredible substance for your perusers. Infographic Distribution

Reply
avatar
April 3, 2018 at 4:39 PM ×

Thanks for sharing this information its really nice. Backlinks High Quality

Reply
avatar
Thanks for your comment