Google Analytics me Account Kaise Banaye

Google Analytics me Account kaise banaye



Hello Dosto, Ek baar fir aapka swagat hai mere naye post me. Abhi tak aapne Google Search Console me Blog add karne or Sitemap Submit karne ke bare me padha. Aaj mai aapko Google Analytics me Blog/Site add karne or uske fayde ke bare me bataunga. 

Dosto, Sirf Blog/Site bana dene or us par post dal dene se hi aapka kaam khatm nahi ho jata hai, balki asli kaam to Post dalne ke baad suru hota hai. 

Isey Bhi Padhein




Hame apne Blog/Site ke visits, Keywords par nazar rakhni hoti hai. Hame ye check karna hota hai ki hamare site par kaha-kaha se log aa rahe hai or kya keword search kar ke aa rahe hai. Unme se kitne male hai or kitne female, hamare site par aane ke liye unlogo ne kaun sa device use kiya etc. ye sab detail hame lagatar check karte rahna chahiye jisse hum apne site me jaruri sudhar la sake or apne site ko Search Engine me pahle page par pahucha sake. 

Upar batai gai sari chizo ko hum ek hi jagah check kar sakte hai or vo hai Google Analytics. Sabse pahle ye janna jaruri hai ki 



Google Analytics kya hai? 


Gmail, Blogger or Google Search Console ki tarah hi Google Analytics bhi Google ki ek service hai. Isme login kar ke ham apne visitors ko track kar sakte hai, sath hi hamari site kaisi perform kar rahi hai ye bhi pata kar sakte hai. Lekin iske liye hame Google Analytics par apna account banana hoga to Aaiye jante hai ki 

Google Analytics Par Apna Account Kaise Banaye


Ek baat hamesa yaad rakhiyega ki Google ke kisi bhi service par login karne ke liye hame Gmail ID ki jarurat hogi. Isliye Agar aapne Gmail par ID nahi banaya hai to pahle apni ID create kare or fir Blogger par Blog banaye. 



Sabse pahle hame Blogger ke account me Login karna hai. 

Ab Naye Tab me Google Analytics ki Site khol lein or Sign Up par click karein. 


Google Analytics me Account kaise banaye


Sign Up par click karte hi kuch aisa page khulega. 
Google Analytics me Account Kaise Banaye


Google Analytics me Account Kaise Banaye

Google Analytics me Account Kaise Banaye

Ab Image me diye gaye form ko fill karna hai, jaha mere blog ki detail hai waha aap apne blog/site ki detail fill karenge or uske baad Get Tracking ID par click kar dena hai. 

Ab aapke samne kuch aisa popup window khulega. 
Google Analytics me Account Kaise Banaye

1. Is Window me sabse pahle aap apni Country (INDIA) Select karein. 

2. Ab Scroll kar ke Google Analytics ke terms pura padhein. Bahut sare log bina terms padhe hi aage badh jate hain. Aisa Bilkul na kare. 

3. Finally ab I Accept par click karein. 

Ab aapke samne niche diye gaye image jaisa page khulega, Usme diye gaye Tracking ID ko Copy kar lein. 
Google Analytics me Account Kaise Banaye

Ab Blogger open karein or Setting me jaye. 

Setting > Others > Google Analytics 

Analytics Web Property ID me jakar apna Code daal dein or Save Setting par click kar dein. 
Google Analytics Me Account Kaise Banaye

Congratulations, Aapka Blog Google Analytics me add ho chuka hai. Ab Aap apne blog ki puri detail yaha dekh sakte hain. 

Google Analytics me Add karne ke baad mere blog ka Screen Shot.  
Google Analytics Me Account Kaise Banaye
Abhi mera Blog naya hai isliye abhi mere visitors kam hai lekin fir bhi aap dekh sakte hain ki Screen shot lene ke samay mere blog par 2 visitors they. Vo kis device me blog open kiye the, Isme aap visitors ke location, Traffic Sources, Referral Site or Active Pages ke baare me bhi live dekh sakte hain. 

Puri detail se batane ke chakkar me post kuch jyada hi lamba ho gaya. Ummid karta hu aapko ye post pasand aaya hoga or hamesa ki tarah aap mujhe comments ke jariye apne sujhav jarur dijiyega. Thank You.


loading...
Previous
Next Post »