Google Search Console Me Blogger Ka Sitemap Kyon Submit Karna Chahiye?

Google Search Console me Blogger Sitemap kaise submit kare

Hello Dosto, Ek baar fir se aapka swagat hai mere naye post me. Pichle post me maine aapko bataya tha ki Google Search Console me Blog kaise add kare. Aaj mai aapko Search Console me Sitemap kaise Submit kare, is baare me bataunga. 

Dosto, Jab bhi ham kisi kaam me pure ji-jaan se mehnat karte hai to ham chahte hai ki hamari mehnat ke anusar hi hame uska result bhi mile. Usi tarah agar ham itni mehnat se koi post likhte hain to ham/aap bhi chahte hain ki hamara post Search me achcha rank prapt kare or usey jyada se jyada log padhein. Iske liye ham apne post or blog ka SEO karte hai. 



 Site Map submit karne ke Fayde 

Agar ham apne Blog ka Site Map Google Search Console me submit karte hain to Google ko ye aasani se pata chal jayega ki hamara post kis topic par hai or agar ham koi naya post bhi dalenge to bhi Google ko us post ke bare me pata chal jayega or Jab koi user koi aisa keyword (Jo hamare Blog Post me already maujud ho) daal kar Google me search karega to Google hamare us keyword ko hamare post me bhi search karega or isse search result me hamare Blog ka link bhi show karne ke chance badh jayenge. 

Google Search Console me Blogger Site Map Kaise Submit Kare 



Agar aap Search Console me Blog add nahi kiye hain to pahle Blog add kar lein. 

Sabse pahle aap Google Search Console me Sign In karein. Sign In karte hi Home Page par aapko aapke Blog ka link dikhai dega. Ab aap apne Blog Name par click karein. 

Waha aapko niche diye gaye image jaise page khulega, us page par aapko Sitemaps par click karna hai. 

Google Search Console me Blogger Sitemap kaise submit kare


Sitemaps par click karte hi ek naya page khulega jisme Add/Test Sitemap par click karna hai. 

Google Search Console me Blogger Sitemap kaise submit kare

Ab aapke samne kuch is tarah ka option dikhega. 

Google Search Console me Blogger Sitemap kaise submit kare

Jaise ki aap dekh sakte hain upar diye gaye Image me hamare blog ka link dikh raha hai, usi tarah aapke Search Console me aapke blog ka link dikhega. Ab aapko Link ke samne wale box me Sitemap ka link paste karna hai. 

Ab Submit Sitemap button par Click kariye. 

Congratulations, Aapke Blog ka Sitemap Submit ho gaya hai. Sitemap Submit karne ke liye jo link box me paste karna hai vo mai yaha de raha hu. Aapko isey sirf Copy kar ke us box me paste kar dena hai. Aapka Sitemap Submit ho jayega.

/ATOM.XML?REDIRECT=FALSE&START-INDEX=1&MAX-RESULTS=500 


Ye sirf 500 Post ke liye hai, agar aapke Blog me 500 se jyada Post hain to aapko dusra Sitemap submit karna hoga. 501 se 1000 post ke liye ye link use karein.  

/ATOM.XML?REDIRECT=FALSE&START-INDEX=501&MAX-RESULTS=500 


Usi tarah 1001 se 1500 post ke liye  

/ATOM.XML?REDIRECT=FALSE&START-INDEX=1001&MAX-RESULTS=500 


Aapke blog par jitne bhi post hai un sabhi ka 500 ke set me Sitemap submit karte jaye. 



Sitemap ke link me aapne dhyan diya hoga ki ek keyword XML ka use hua hai. Aap soch rahe honge ki Blog me to HTML ki coding hoti hai to fir XML ka use kyu? Yaha mai ye batana chahunga ki Sitemap 2 tarah se submit ki jati hai. Ek XML Sitemap or Dusra HTML Sitemap

XML Sitemap Google ko batata hai ki hamare blog par abhi kitni post hain or unhe publish kiya gaya tha. Sidhe taur par kaha jaye to XML sitemap Search Engine ke liye banaya jata hai Wahi HTML Sitemap Blog ke visitors ke liye banaya jata hai. 



Agar aap apne blog me HTML Sitemap add karte hai to isse aapke visitors ko aapke blog par maujud puri post ki list unke category ke anusar dikh jayegi. 

HTML Sitemap kaise banaye is bare me mai apne agle post me bataunga. Dosto, Ab aapko ye pata chal gaya hoga ki Search Console me Sitemap kaise Add karte hai or Sitemap Submit karne ke kya fayde hai. 

Agar hamara post pasand aaya ho to hame comments ke jariye jarur bataye. Thank You.


loading...
Previous
Next Post »