On-Page SEO Karne ke 15 Best Tips

On Page SEO Techniques





SEO yani Search Engine Optimization hamare Site/Blog ke liye kitna jaruri hai ye aap sabhi jante honge. Search Engine Result Page (SERP) me high rank dilane ke liye hame apne site/blog ko Optimize karna bahut jaruri hai.

SEO mainly 2 tarike se kiya jata hai.
1) On-Page Seo 2) Off-Page SEO.

On Page SEO

Aaj mai is post me aapko On-Page SEO Techniques ke bare me bataunga. Aaiye Sabse pahle jante hai ki


On-Page SEO kya hai?

Jab bhi hum koi Post ya Article likhte hai to Post ke topic ke anusar uska Title, Headings, Permalink, Image, Video ye sabhi add karte hai, sath hi post ki demand ke anusar sahi jagah par sahi keyword ka use karte hai yani Optimize karte hai. 

Ek line me kaha jaye to, Apne Post ko Title, Headings, Permalink, Keyword ke use se sahi tarike se optimize karna hi On-Page SEO kahlata hai.

Isey Bhi Padhein


On-Page SEO Kaise Kare:-

  1. Title Me Sahi Keyword ka Use
  2. Search Engine jab hamare blog par aata hai to kai chizo ke sath-sath vo hamare Post ke Title ko bhi dekhta hai. Agar humne title me koi aisa keyword rakha hai jo jyada search hota hai to Search me hamare post ke aane ke chance badh jate hai.

    Isliye hamesa kosis karni chahiye ki aapka main keyword Post ke title me sururwaat me ho ya bich me ho lekin last me kabhi bhi na ho. Aap isey aise samajh sakte hain- 

    On-Page SEO Kya hai aur Kaise Kare

    Kaise Kare On-Page SEO aur kya hai iske fayde

    Post ko Search me lane ke tarike: On-Page SEO



  3. SEO Friendly Permalink Bana Kar

  4. Jab bhi hum koi post likh kar publish karte hai to Blogger us post ke title ko hi uska url bana deta hai ji ki kabhi-kabhi bahut lamba ho jata hai. 

    Blogger me hi side me ek tool hota hai Permalink ka. Permalink ki madad se hum apne post ke url ko na sirf chhota kar sakte hai balki apni marji se usme koi bhi keyword daal sakte hai.

    Aap kabhi apne post ka URL jyada bada mat rakhiye jaise
    internethindime.blogspot.com/on-page-seo-kya-hai-aur-kaise-karte-hai

    Ya fir aisa bhi mat rakhiye-
    internethindime.blogspot.com/p=10 

    Ab aap soch rahe honge aisa kyu? Iska karan ye hai ki Google hamesa URL ke starting ke 3-4 word ko hi jyada importance deta hai. Jaise-

    internethindime.blogspot.com/on-page-seo
    On Page SEO Permalink

    Ye URL chhota bhi hai or isme sabse jyada search kiya jane wala keyword bhi hai isliye hamare post ke search me high rank milne ki sambhavna badh jati hai.

    Isliye hamesa apne Permalink URL ko chhota rakhe aur usme main keyword ka hi use kare. 



  5. Keywords Ko Sahi Jagah Place Kar Ke

  6. Jab Search Engine hamare Blog Post par aata hai to Title ke baad hamare post ke starting ke 1-2 paragraph ko read karta hai or us aadhar par ye andaja lagata hai ki hamara post kis topic par hai.

    Isliye hame kosis karni chahiye ki apne post me starting ke 100-150 words me post se related jaruri keywords insert kiye jaye, Yani aapke starting ke 1-2 paragraph me hi aapke us post me use hone wale main keywords aa jaye.






  7. Attractive Image Ya Video Insert kar ke

  8. Kahte hai ki ek achchi Photo, 1000 shabdo ke barabar hoti hai. yaani aap ek meaningful photo daal dijiye to aapko 1000 words type karne ki mehnat nahi karni padegi.

    Yaha bhi kuch aisa hi hai. Agar aap apne post me kewal text hi likh rahe hai koi Image ya Video nahi dalte hain to ye aapke Blog or Post ke liye bahut hi khatarnak hai.

    Jab aap apne post me attractive Image ya Videos insert karte hai to visitors ke us post par jyada der tak ruke rahne ki sambhavna badh jati hai jisse aapke blog ka Time On Page badh jata hai or jab visitors jyada der tak aapke blog par rahega to waha maujud dusre interlnal links bhi jarur open karega, isse aapke Blog ka Bounce Rate bhi kam ho jayega.

    Time On Page:- Koi bhi visitors aapke site par kitne samay tak ruka raha, isey Time on Page kahte hai.

    Bounce Rate:- Jab Visitors Blog par aane ke baad dusre page par jaye bina hi Blog se chala jaye to usey Bounce Rate kahte hai.

    Agar aapke Blog ka Bounce Rate Badh raha hai or Time On Page kam ho raha hai to Google aise Blog ko jyada importance nahi deta hai jis karan us blog ki page rank girne lagti hai.

    Isliye apne post ko attractive banane ke liye jarurat ke anusar usme Image or Video bhi jarur insert kare.



  9. Page ki Loading Time Kam Kar Ke

  10. Agar aapka blog ya site ko puri tarah se load hone me bahut jyada time lagta hai to ye aapke liye khatre ki ghanti hai.

    Google aise Blog/Site par kadi nazar rakhta hai or loading time kam nahi hone par Search me importance nahi deta hai.

    Page Loading time kam karne ke liye hame apne Blog/Blog-Post par HD pics ko compress kar ke lagana chahiye, iske alawa bekar ke plugin ya widget add karne se bachna chahiye, ye bhi page loading ko slow kar dete hai.

    Agar aapka Site load hone me jyada time leta hai to jyadatar visitors aapke site par dubara visit nahi karenge.

    Generally, Site ki loading time 4 second honi chahiye lekin hamare desh me jaha aaj bhi bahut log slow net use karte hai, waha 5-6 seconds hone se jyada fark nahi padega lekin kosis yahi rahni chahiye ki loading time 5 second se jyada na ho.

    Aap GTmetrix.com par jakar apne site ka loading speed check kar sakte hain. 






  11. Post Content ko Bada Kar ke

  12. Agar aap chahte hai ki aapka post Search me first page par aaye to aapko apna post kam se kam 2000 words me likhna chahiye yaani ki aapka post kaafi bada hona chahiye.

    Post bada hone se us topic se related sare jaruri keywords kahi na kahi aa hi jate hai. Isliye jitna bada post hoga utna hi jyada usme keywords use ho sakega or ye SEO ke liye bahut hi jaruri hai ki aapke post me us topic se related keywords jyada se jyada ho.

    Lekin bada post likhne ke chakkar me aisa na ho ki aap kuch bhi ulta sidha likh kar post ko bada kar dein. Jo bhi kuch likhiye TO The Point likhiye, Jisse padhne wale ko bhi achcha lage or Search Engine bhi usey ignore na kar sake.



  13. Title Me Modifiers Ka Prayog Kar Ke

  14. Aaj ke Samay me apne Title ko attractive banane ke liye log kai sate Modifiers jaise "Top", "Best", "Review", "Complete", "Adbhut" etc. ko use karte hai, Isse aapka Title attractive banta hai or visits bhi badh jate hai.

    Kuch aise hi Title dekhiye:-

    1) Best SEO Tips jo aapko or kahi nahi milenge.

    2) Top 10 Mobile Apps jo aapke phone me jarur hona chahiye.

    3) Aisa Adbhut Karnama aapne kabhi nahi dekha hoga.

    Jaisa ki aapne upar ke tino example me dekha ki har title ko kis tarah se modifiers ke use se attractive banaya gaya hai, jisey padhne ke baad koi bhi click kiye bina nahi rah payega.

    Or fir jab aap aise title wale link ko social sites par share karenge to waha par click milne ke chance pahle ki tulna me jyada honge. 

    Yahi nahi Google search me bhi aapka attractive title dekh kar click karne ke chance 20% tak badh jayenge. Isliye agli baar post likhte waqt is Attractive Title lagana mat bhuliyega.
      





  15. Social Sharing Button ka Use Kar ke

  16. Social sites ka aaj hamare jivan me kya importance hai ye batane ki jarurat nahi rah gai hai. Agar aapka friend list bada hai or aap koi pic dalte hain to kuch hi ghanto me aapke pics par 100+ likes or comments aa jate hai.

    Ab jara sochiye, agar aap apne likhe hue post ko social sites par share kariyega to kya hoga?

    Agar aapke friend list me 5000 log hai to maan kar chaliye ki waha se aapko kam se kam 5% visit yani lagbhag 250 visits jarur milegi.

    Ye to tha sirf aapke Social Sites ka haal lekin sochiye agar aap apne Blog-Post me Social Sharing (Facebook, Twitter, Whatsapp, Linkedin) button ko add karte hai to kya hoga?

    Apke post ko padhne wala har 10 me se 1 visitor aapke post ko social sites par share karega to ussey na sirf aapke site ka visits badhega balki aap search me bhi upar aa jayenge or yaha tak ki aapka post viral bhi ho sakta hai.

    Lekin iske liye jaruri hai ki aap apne post me social sites ka button add karein kyuki kuch hi log aise hote hai jo post achchi lagne par uska URL copy kar ke share karte hai baaki waha se nikal jate hai.

    Agar waha Social Buttons honge to fir aapke post share hone ke chance bhi badhenge or sath hi apne Blog me apne Facebook Page/Group, Twitter, Google+ ke links bhi jarur add karein, issey jyada se jyada log aapko follow karna suru karenge or aapke blog par daily visits bhi badhega.



  17. H1 aur H2 Tag ka Use Kar Ke

  18. H1, H2, H3 tags ko hum Heading or Sub-Heading ke liye use karte hai lekin bahut kam logo ko hi pata hoga ki ye On-Page SEO ke liye bhi use hota hai.

    Jab Search Engine hamare post me aata hai to Hamare post ka Title, Headings, Sub-Headings check karta hai or jab hum Headings or Sub-Headings me H1, H2 Tag use karte hai to Search Engine usey sabse pahle read karta hai or issey usey pata chal jata hai ki hamare post ka topic kya hai ya post me kis bare me bataya gaya hai.






  19. Internal Links Add Kar Ke

  20. Jab bhi hum koi post likhte hai to usme kai baar aise keywords aate hai jin par hum already post likh chuke hote hai. Apne visitors ki suvidha ke liye hum us keywords me apne us post ka link add kar dete hai jisse visitors ko vo post padhne ke liye jyada bhatakna na pade.

    Ek line me kahu to apne naye post me purane published post ka link add karna hi Internal Link kahlata hai.

    SEO ke najariye se Internal links add karna bahut hi jaruri hai. Aisa karne se aapke Blog ka Bounce rate bhi kam hota hai or Time On Page bhi badhta hai.

    Internal Links ka sabse best example hai Wikipedia. Jab aap wikepedia me koi topic par article padhte hain to aapko 10 lines me hi kam se kam 5 internal links mil jate honge jis par click kar ke aap usse related article par pahuch jate hai.



  21. Image Optimization Se

  22. Jab aap Google me kuch search karte hai to Search me bahut sara result aata hai lekin vo Web me hota hai.

    Aap dekhte honge Search ke thik niche "All Images Videos News" etc ye sab option bhi aata hai. Ab agar aap Images par click karenge to aapke search kiye gaye keyword se related Image waha show hoga.

    Aapne kabhi socha hai ki aisa kyu hota hai?

    Iska karan hai Image Optimization. Aaiye jante hai Image Optimization kaise karte hain.

    1) Name:- Jo bhi Image add karna hai pahle uska naam dena hoga. Kai baar jab hum pic click karte hai to uska naam kuch aisa hota hai- 20170201.jpg lekin hame usey rename kar ke uska sahi naam rakhna chahiye.

    Agar Vo image On-Page SEO se related hai to uska naam On-Page SEO ya waisa hi kuch naam rakhe.
    On-Page SEO Image Property

    2) ALT Tag ka use:- Jab aap post me Image add kar dete hai to uske baad image par click kariye, image select ho jayega or kai sare option dikhenge, usme aapko properties me jana hai.
    On-Page SEO

    Waha aapko Title Text or ALT Text likhne ke liye kaha jayega. Agar aapka post On-Page SEO par hai to aap yahi keyword Title Text or ALT Text me likh kar OK kar dijiye jaisa ki niche image me dikhaya gaya hai.

    Aisa karne se Google ko aapke content ke bare me samajhne me aasani rahegi aur agar koi ALT text me dale gaye keyword ya usse milta julta keyword search  karega to Search me aapka post ya Image me aapke post ka image dikhne ke chance badh jayenge.






  23. Post Description Likh Kar

  24. Aap soch rahe honge ki itna lamba chauda post likh diya to post description ki kya jarurat hai.

    Dosto, apne school ke dino me jab aap chhutti karte honge to apne class teacher ke naam ek application bhi likhte honge jisme aap chhutti karne ke karan ke bare me batate they lekin usse pahle aap usi application me ek Subject bhi likhte they jise padh kar aapke teacher ko ye pata chal jata tha ki application kis bare me hai.

    Thik usi tarah hum apne post ka short description likhte hai or jab Search me hamara post dikhta hai vo visitors us short description ko padh kar hi andaja laga leta hai ki ye post kis bare me hai or ye uske kaam ka hai ya nahi.

    Isliye Post chahe chhota ho ya bada lekin uske sath uska description jarur hona chahiye.




  25. Outbound Links Ka Use Kar Ke

  26. Google chahta hai ki aap apne field ke Bloggers ya Site Owners se achche rishte bana kar rahe, isliye vo chahta hai ki aap apne site me dusre site ka link bhi add kare.

    Outbound link kya hota hai? 

    Jab hum apne blog/site me kisi dusre blog/site ka link add karte hai usey hi outbound link kahte hai.

    Hamare post me kam se kam ek Outbound link jarur hona chahiye, issey hamare post ke SEO par bahut hi achcha asar padta hai, sath hi dusre Bloggers se hamare rishte bhi achche hote hai jiska result hame badhe hue traffic ke rup me milta hai. 



  27. Responsive Design Se

  28. Abhi tak humne post likhne or uski setting ke bare me hi baat kiya lekin in sabke sath hi ek jaruri baat ye bhi hai ki hamare Blog/Site ka Template User-Friendly, Mobile-Friendly or SEO-Friendly ho.

    Kai baar jab aap koi website open karte honge to uska design dekh kar usey jaldi band kar dete honge or kai site ki design se hi khus hokar aap uske dusre page bhi check karte honge.

    Agar aapne Blogger par blog bana rakha hai tab to aapko Mobile Friendly Template ke bare me chinta karne ki jarurat nahi hai lekin agar aapne custom template laga rakha hai to aapko uske bare me apne visitors se feedback jarur lena chahiye ki unhe aapke blog ko open karne, navigate karne me problem to nahi ho rahi hai?

    Agar aapke blog/site ka design sahi nahi hai or SEO-Friendly bhi nahi hai to Google is par bhi aapse naraj hokar aapko search me niche kar sakta hai.

    Isliye apna template jarur check kariye. SEO-Friendly Free template kaise lagaye ye janne ke liye hamara ye post jarur padhein.



  29. LSI (Latent Semantic Indexing) Keywords Ka Use

  30. Dosto, Jab aap Google me kuch search karte hain to result ke taur par aapko bahut sari sites dikh jati hai lekin jab aap scroll karte hue niche tak jate hai to aapko Google ke dwara kuch naye keywords bhi sujhaye jate hai.

    Jaisa aap image me dekh sakte hai. Google ke dwara sujhaye gaye inhi keywords ko LSI Keywords kahte hai.
    On-Page SEO Google Search

    Jab aap bahut lamba post likhte hain to aapko in keywords ko add karne ki jarurat nahi padti hai lekin aap chahe to inme se ek ya do keywords ko apne post me jarur shamil karein, aisa karne se aapke post ko Search me aane me aasani rahegi.

    Aap lsigraph.com par jakar apne post ke liye suitable LSI keyword generate kar sakte hain.

    Aaj ka ye post aapko kaisa lga? Post se related koi Sawal ya Koi Advice ho to Comment kar ke jarur bataiyega. Thank You. 




loading...
Previous
Next Post »