Post Ko Google Search Me Jaldi Kaise Laye

Post ko Google Search me kaise laye



Hello Dosto, ek baar fir se aapka swagat hai mere naye post me. Google Search Console Series ki ye 3rd post hai. Aaj mai aapko bataunga ki apne post ko publish karne ke 2-3 ghante ke andar search me kaise laya jaye. 

Dosto, hum sabhi Bloggers ka sapna hota hai ki hamara Blog or Blog-Post Google me pahle page par aaye lekin Internet par maujud Lakho Blogs ki bhid me apne blog ko Search me pahle page par lana muskil jarur hai lekin namumkin nahi. 

Jab hum Google Search Console me apne post ko Index karte hain to Google usey index karne me 2-3 din lagata hai, aise me hamara naya likhe post ko bhi search me aane me time lagta hai. Lekin agar aap apne post ko kuch hi Minutes/ghanto me search me lana chahte hain to aaj ka ye post jarur padhiyega. 



Google Me Post Ko Jaldi Index Karne Ka Tarika 

Google me Post ko Submit karna bahut hi aasan hai lekin uske liye sabse pahle hamari Site ko Google Search Console me add hona jaruri hai or hamare site ka Site Map bhi Search Console me Submit hona jaruri hai. Agar aapne abhi tak ye dono kaam nahi kiya hai to niche diye gaye dono links par jakar hamara post padhein or apni Site ko Submit kare. 



Post Link Google me Submit karne ke Steps:- 

Sabse Pahle Google Search Console me Login kariye. 

Home Page par dikh rahe apne Blog/Site ke Link par jaiye. 

Search Console Ke Dashboard me CRAWL option par click kariye. Crawl par click karte hi kuch Sub-Menu dikhenge, usme aapko Fetch As Google par Click karna hai. 

Post ko Google Search me kaise laye

Ab aapke samne aisa page khul jayega. 
Post ko Google Search me kaise laye

Jaisa ki aap dekh sakte hain usme aapke website/blog ka url already show kar raha hai, aapko jis post ka url dalna hai us post ke url me se apne blog/site ka naam hata kar baaki pura link daal dijiye. jaisa ki image me dikhaya gaya hai. 

https://internethindime.blogspot.in/2017/02/Blogger-Sitemap-google-search-console.html 

Jaise upar wale link ko index karna hoga to hum 2017/02/Blogger-Sitemap-google-search-console.html ko us box me paste karenge. URL dalne ke baad Fetch button par click karna hai. 

Ab niche aapke post ka url show hone lagega. Fir aapko Request/Submit Index par click karna hai. 
Post ko Google Search me kaise laye

Ab ek pop up aayega jaisa aap niche image me dekh sakte hain. Waha aapko I am not robot ke box ko check karna hai or fir Crawl Only this URL select karna hai or Go button par click kar dena hai. 
Post ko Google Search me kaise laye

Congratulations, Ab aapka post index ho chuka hai, Aap apne post ya post ke topic ko Google me search kar ke check kar sakte hain. 

Sabse important baat, Aap ek mahine me sirf 500 post hi index kar sakte hain. Mere khyal se ek mahine me 500 post kaafi hai. 

Aapko ye jankari kaisi lagi, is baare me comment box me jarur bataiyega. Thank You.


loading...
Previous
Next Post »