Search Engine Optimization (SEO) Kya Hai

Search Engine Optimization (SEO) Kya hai
Search Engine Optimization

Hello Dosto, Ek baar fir aapka swagat hai mere naye post me. Aaj mai Aapko SEO ke bare me bataunga. SEO yani Search Engine Optimization. Ye bahut kaam ki chiz hai, iski madad se hum apne Post/Blog/Site Search me la sakte hain. 

Waise to har Blogger/Website Owner apne level par SEO karta hi hai lekin fir bhi bahut sare logo ko SEO ki basic chize pata nahi hoti hai. Isliye aaj hum waise logo ke liye hi Hindi me SEO ki puri jankari yaha denge. 


  1. SEO Kya hai

  2. Apni Site/Blog ke liye Search Engine se Free or Natural Traffic pane ke liye Apne Site ko optimize karne ke process ko SEO kahte hai. SEO karne se hamara Blog/Site Search Engine me upar aata hai jisse hamare Blog par traffic badhta hai. 

  3. SEO kyu karna chahiye


  4. Jab bhi hum Internet par Koi site banate hai to hum chahte hai ki us par jyada se jyada visit ho lekin hame ye nahi pata hota ki jyada visitors kaise aayenge. Aise me hame SEO karne ki jarurat padti hai. SEO ke jariye hum apne Blog/Site ke bare me Search Engines Google, Bing, Yahoo in sab ko batate hai. 

    Search Engines hamare Blog me kiye gaye SEO ke anusar hamare blog ko analyse karte hai or uske anusar Search Engine me hamare Blog ko Rank dete hai jisse hame bilkul Natural Traffic milta hai. 



  5. Search Engine me SEO ka kaam 


  6. Hum SEO ke jariye Search Engine ko batate hai ki hamara Blog/Post kis Topic par hai. Jab koi hamare Blog par maujud post se related topic par search karta hai to Search Engine hamare Blog ko check karta hai or hamare dwara kiye gaye SEO ke aadhar par samajh jata hai ki ye Post Search kiye gaye Keyword ke liye perfect hai or tab hamari site ko search me achcha rank milta hai. 



  7. SEO kitne type ke hote hai 


  8. SEO 2 tarah ke hote hai. 1) On-Page SEO 2) Off Page SEO  

    a) On-Page SEO

    :- Apne Post me hamare dwara kiye gaye SEO ko On-Page SEO kahte hai. 

    b) Off-Page SEO

    :- Apne Blog/Site ke bahar kiye gaye SEO (jaise dusre site par link dalna ya Guest Post likhna) ko Off-Page SEO kahte hai. 

  9. SEO ki kitni techniques hoti hai



  10. SEO ki mainly 2 Techniques hoti hai. 1) White Hat SEO 2) Black Hat SEO  

    a) White Hat SEO

    :- Apni Site ko Search me lane ke liye achche tarike se kiye gaye SEO ko White Hat SEO kahte hai. 

    Black Hat SEO

    :- Kuch galat code ya process ke jariye apni site ko Search Engine me High rank dilane ko Black Hat SEO kahte hai. 



  11. Post me H1, H2 Tag Ka Prayog


  12. SEO ke najariye se H1, H2, H3 tag ka use bahut hi jaruri hai. Headline H1 me or Sub Heading H2 ya H3 me jarur rakhein. Issey Search Engine ko hamare Post ko samajhne me aasani hoti hai. 

  13. Back Link kya hota hai


  14. Jab Hum kisi dusre website par Guest Post ya Comment ke jariye apne site ka link deta hai, usey back link kahte hai. Agar Kisi site owner se achchi jan-pahchan ho to hum apni site ka link uske fav Site me bhi add karwa sakte hai. 

  15. Keyword kya hota hai


  16. Hamara Blog-Post jis topic par bana hota hai, wahi topic keyword hota hai ya Koi aisa word jo Internet par bahut jyada popular hai or vo word hamare post me 3-4 baar use hua ho, vo keyword kahlata hai. jaise is Post ka naam hai SEO kya hai, ab agar google me koi SEO ya SEO kya hai likh kar search karega to hamari site bhi Search me show hogi. 




  17. Ek Post me Keyword Density kitni honi chahiye


  18. Agar hum kisi Keyword par koi Post/Article likhte hai to hame dhyan rakhna chahiye ki post me us Keyword ka nischit matra me prayog kiya gaya ho lekin jarurat se jyada prayog na ho, ye bhi dhyan rakhna hoga. Ek line me kaha jaye to kisi bhi post me Keyword 2-3% se jyada nahi hona chahiye. Jyada Keyword hone se Search Engine Confuse ho jata hai jisse hamare post ki ranking par bura asar padta hai. 

  19. Out Bound Link kisey kahte hai 


  20. Jab hum apne Site/Blog par kisi dusre site/blog ka link add karte hai to usey Out Bound link kahte hai. Lekin dhyan rahe Out Bound link jarurat se jyada add nahi karna chahiye, aisa karne se Bounce rate badhne ka khatra badh jata hai. 

  21. Meta Tag kya hota hai


  22. Meta Tag SEO ka sabse important part hai. Iski madad se hum Search Engine ko apne blog/site ke bare me batate hai. Ye Code sirf Search Engine ke liye hi use hota hai. Meta Tag me Mostly Meta Title, Meta Keywords, Meta Description etc. use hota hai. 



  23. Bounce Rate Kya hota hai


  24. Jab hamare site par koi visitors aata hai or aane ke kuch hi seconds ya 1-2 minutes me hamare site se wapas chala jata hai to usey Bounce rate kahte hai. Matlab agar hamare site par users aaye or thodi der ruk kar chale jaye to kaha jayega ki hamare site ka bounce rate badh gaya hai or agar users jyada der tak rahenge to bounce rate kam hota hai. 

  25. Robot.txt kya hota hai


  26. Robot.txt ek chhoti si text file hoti hai jisme ek code likha hota hai jo Search Engine ko batata hai ki kaun se page ko Index karna hai kaun se page ko Index nahi karna hai.




  27. Site Map Submit Karna


  28. Blog/Site par maujud Sare Post ya Page ke list ko Site Map kahte hai. Site Map 2 tarah ke hote hai 1) XML Site Map 2) HTML Site Map.  

    a) XML Site Map

    :- XML Site Map Search Engine ke liye banaya jata hai, iski madad se Search Engine ko ye pata chalta hai ki hamare Site par kitne Posts maujud hai. 

    b) HTML Site Map

    :- HTML Site Map hum Site Visitors ke liye banate hai, Isme visitors ko ye pata chal jata hai ki is pure site par kitne Post/page hai or vo un sab ki list ek hi jagah dekh sakta

  29. Post Ko Google Me Index Karna


  30. Jab Hum koi Post likhte hai to usey Jaldi se Google ya kisi bhi Search Engine me upar lane ke liye Sitemap submit karte hai or fir us site ya post ko Index karte hai. 

    Adhik jankari ke liye hamara ye post jarur padhe. 


  31. Title or Description kya hai


  32. Jab hum kisi topic par post likhte hai to usse milta julta ek Headline dalte hai jisey Title kahte hai. Post kis bare me hai ye dusro ko brief me batane ke liye lagbhag 100-150 word me uske bare me likhte hai, usey hi description kahte hai. Ye hamesa Search description me likha jata hai. Is bare me detail se apne kisi dusre post me bataunga. 

  33. Image ko SEO Friendly kaise banaye


  34. Image ko SEO Friendly banane ke liye hame Image ka Post ke according naam dena chahiye, Image ka Size kam karna chahiye, Image me Alt Tag or Caption ka use karna chahiye. 
Ummid karta hu is post me SEO par di gai ye aapko achchi lagi hogi. Post se related koi Sawal ya sujhav ho to mujhe comment kar ke jarur bataiyega. Thank You.

Isey Bhi Padhein




loading...
Previous
Next Post »

2 comments

Click here for comments
February 18, 2017 at 1:32 PM ×

Bahut hi useful POST.
SEO ke bare me puri jankari dene ke liye dhanywad. Ab shayed hum apne blog ko search engine me achhi rank dila sakte hain :)

Reply
avatar
Admin
admin
February 18, 2017 at 2:30 PM ×

Welcome Khursheed bhai. :)

Agar isse related koi sawal ho to jarur puchiyega, mai aapka reply dene ki puri kosis karunga.

Reply
avatar
Thanks for your comment